Aai hai bekasi-e-ishqperona'ġhalib'
Kiskegharjaegasailab-e-balamerebaad .
Aaina dekh apna samuh le kerah gaye
Sahab ko dil na dene pe kitna guroortha.
Aaina kyun na doon ki tamashakahein jise
Aisa kahan se laoonki tujhsakahein jise !
āgahī dām-e-shunīdan jis qadar chāhe bichhā.e
mudda.ā anqā hai apne ālam-e-taqrīr kā
aage aatī thī hāl-e-dil pe hañsī
ab kisī baat par nahīñ aatī
aah ko chāhiye ik umr asar hote tak
kaun jiitā hai tirī zulf ke sar hote tak
aaj ham apnī pareshāni-e-ḳhātir un se
kahne jaate to haiñ par dekhiye kyā kahte haiñ
āshiq huuñ pa māshūq-farebī hai mirā kaam
majnūñ ko burā kahtī hai lailā mire aage
āshiqī sabr-talab aur tamannā betāb
dil kā kyā rañg karūñ ḳhūn-e-jigar hote tak
aatā hai dāġh-e-hasrat-e-dil kā shumār yaad
mujh se mire gunah kā hisāb ai ḳhudā na maañg
aate haiñ ġhaib se ye mazāmīñ ḳhayāl meñ
'ġhālib' sarīr-e-ḳhāma navā-e-sarosh hai
ātish-e-dozaḳh meñ ye garmī kahāñ
soz-e-ġham-hā-e-nihānī aur hai
ab jafā se bhī haiñ mahrūm ham allāh allāh
is qadar dushman-e-arbāb-e-vafā ho jaanā
adā-e-ḳhās se 'ġhālib' huā hai nukta-sarā
salā-e-ām hai yārān-e-nukta-dāñ ke liye
agar ġhaflat se baaz aayā jafā kī
talāfī kī bhī zālim ne to kyā kī
agle vaqtoñ ke haiñ ye log inheñ kuchh na kaho
jo mai o naġhma ko andoh-rubā kahte haiñ
ahl-e-bīnash ko hai tūfān-e-havādis maktab
lutma-e-mauj kam az saili-e-ustād nahīñ
allāh re zauq-e-dasht-navardī ki ba.ad-e-marg
hilte haiñ ḳhud-ba-ḳhud mire andar kafan ke paañv
apnā nahīñ ye sheva ki ārām se baiTheñ
us dar pe nahīñ baar to ka.abe hī ko ho aa.e
apnī galī meñ mujh ko na kar dafn bād-e-qatl
mere pate se ḳhalq ko kyuuñ terā ghar mile.
apnī hastī hī se ho jo kuchh ho
āgahī gar nahīñ ġhaflat hī sahī
arz-e-niyāz-e-ishq ke qābil nahīñ rahā
jis dil pe naaz thā mujhe vo dil nahīñ rahā
aur bāzār se le aa.e agar TuuT gayā
sāġhar-e-jam se mirā jām-e-sifāl achchhā hai
bār-hā dekhī haiñ un kī ranjisheñ
par kuchh ab ke sargirānī aur hai
baat par vaañ zabān kaTtī hai
vo kaheñ aur sunā kare koī
bāzīcha-e-atfāl hai duniyā mire aage
hotā hai shab-o-roz tamāshā mire aage
0 टिप्पणियाँ:
एक टिप्पणी भेजें